Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

Hazrat Baba Fareed Al Deen Ganj Shakar

Rahmatullah Alayh

 

Azeem sufi buzurag aur shair Hazrat Baba Fareed Al Deen Ganj Shakar Rahmatullah Alayh 1173 Hijri mein Multan ke aik qasbay Khtowal  mein peda hue. Kaha jata hai kay un ke aaba o ajdad  Kabul ke Farakh Shah ki aulaad mein se thay. Sair ul Arfeen ( tasneef 1311 Hijri matboa Rizvi Dehli ) ke musannif  Hamid bin Fazal Allah Jamali kehte hain kay Hazrat Baba Fareed Al Deen Ganj Shakar Rahmatullah Alayh ke waalid Sheikh Shoiab Sultan Mahmood Ghaznavi ke bhanjay thay jo Shahab Al Deen Ghori ke zamane mein Multan ke qasba Khotowal mein aa kar abad hue. Baaz  riwayaat ke mutabiq un ke dada hijrat kar ke Lahore aaye aur is ke baad kuch waqt Qasoor mein guzaar ka Khotowal chalay gaye .

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Hazrat Baba Fareed Al Deen Ganj Shakar Rahmatullah Alayh Multan mein Minhaj Al Deen ki masjid mein zair e taleem thay jahan un ki mulaqaat janab Hazrat Bukhtiar Kaki Rahmatullah Alayh se hui aur woh un ki eradat mein chalay gaye. Apne murshid ke hukum par  bain al aqwami aur samaji taleem ke liye Qandhar aur dosray shehron mein taleem haasil karne ke baad Dehli pahonch gaye .

Hazrat Baba Fareed Al Deen Ganj Shakar Rahmatullah Alayh ke murshid ke wisaal ke baad Hazrat Baba Fareed Al Deen Ganj Shakar Rahmatullah Alayh chishtia sangat ka sarbarah banaya gaya. Woh Hazrat Moueen Al Deen Rahmatullah Alayh  aur Hazrat Bukhtiar Rahmatullah Alayh  ke baad is ke teesray sarbarah thay .

Yeh kaha jata hai kay Hazrat Baba Fareed Al Deen Ganj Shakar Rahmatullah Alayh ko Dehli ki shaan o shaukat hargiz pasand nah thi jis ki wajah se woh pehlay Hansi aur phir Ajodhan ya Pak Patan mein deera nashen ho gaye. Lekin kuch riwayaat ke mutabiq Dehli aur is ke gird o nawah ki chishtia ishrafia Multan ke aik qasbati nojawan ko sarbarah mannay ko tayyar nah thi aur un ke khilaaf sazishain ho rahi theen jis ki wajah se woh Pak patan tashreef  le aaye. Shayad dono baatein hi durust hon kay un ke khilaaf  sazishain bhi ho rahi hon aur un ko apne dais ki awaami zindagi bhi pasand ho. Woh kehte hain :

Fareeda  buray da bhala kar gussa maan nah hunda

Dehi rog nah lagaia pale sab kujh payia

Fareeda  buray ka bhala kar taakay tumhara dil ghusse ke tasarruf  mein nah chala jaye, ghusse ki nazar nah ho jaye. Agar tum jisam ko rog nahi lagana chahtay ho to sab ghusse wali cheeze sameat lo .

Pakptan is zamane mein tijarti shahrah par aik ahem maqam tha. Dareaye Satlij ko yahen se paar kya jata tha. Yeh baat haadsati nahi hai kay punjabi ke dosray klasiki danishwaron ne tijarti maqamat par zindagi guzari jahan un ko duniya ke baray mein itilaat milti rehti theen. Bohat si tareekhi dastawizaat se pata chalta hai kay bohat se alam daur daraaz se grammer aur zabaan daani ke masail hal karanay ke liye Baba Fareed ke paas pakptan atay thay .

Hamid bin Fazal Jamali ka kehna hai kay Hazrat Baba Fareed Al Deen Ganj Shakar Rahmatullah Alayh ne Pak Patan  mein hi shadi ki halaank baaz tareekhi hawalon ke mutabiq woh Dehli mein badshah Nasr al Deen Mahmood ke darbaar mein gaye jahan badshah ne apni beti Hazabara  ki shadi un se kar di. Lekin baad mein honay walay waqeat se pata chalta hai kay unhon ne awaami rang mein rehtay hue apne tabqay mein hi shadi ki thi .

Pak Patan  ki awaami zindagi bhi koi aasaan  nah thi kyunkay wahan bhi mazhab ka thaikaydaar' Qaazi' mojood tha jo har terhan se un ko takaleef pohanchanay par tayyar rehta tha. Is ke uksanay par log aap ki aulaad ko azaar pohanchate thay lekin Hazrat Baba Fareed Al Deen Ganj Shakar Rahmatullah Alayh kuch ziyada tawajah nah dete thay. Qaazi ko is par bhi chain nah aaya aur is ne Multan ke ulama ko ittila di aur sawal kya kay  kya yeh jaiz hai kay 1 shakhs  jo ahle ilm hai khud ko darwaish , hamesha masjid mein rahay aur wahan gana  sunay aur raqs kare. Jab un ulama  ne bhi kuch nah kya to Qaazi ne kisi ko day dila kar tayyar kya kay woh Baba Fareed ko douran  ibadat  khatam  kar day lekin is ka yeh mansoobah bhi nakaam ho gaya .

Is mushkilaat ke bawajood Hazrat Baba Fareed Al Deen Ganj Shakar Rahmatullah Alayh ne zindagi ko zatiaat se bala tar ho kar awam ke dukhoon ke hawalay se dekha. “Mein janiya dukh mujhi ko dukh sabaia  jug uche  charh ke ghar ghar aeho agg “ mein samjha tha kay dukh sirf  mujhe hi hai lekin dukh to saaray Jahan ko hai. Oopar charh kar dekha to pata chala kay ghar ghar yahi aag sulag rahi hai .

Hazrat Baba Fareed Al DeenGanj Shakar Rahmatullah Alayh ki awam ke sath zaati aur nazriati dono hi aitbaar se mohabbat aur pyar tha. Woh kehte hain Fareeda khaaliq Khalq mein, Khalq vse rab maa munda kis nu akhe, jaan ban koi nah ( Fareeda khuda makhlooq mein aur makhlooq khuda mein jagzin hai. Kis ko bura kahin jab tumahray baghair koi nahi hai ). Fareeda khaak nah Khako jed nah koye  jeondian thle, upper hue ( Fareeda khaak ki naqadri nah karo kyunkay zindagi mein paon is par kharray hotay hain aur marnay par yeh oopar se dhanpti hai ) .

Hazrat Baba Fareed Al DeenGanj Shakar Rahmatullah Alayh 93 Saal ki Umar pa kar 1266 Hijri ko is daar e faani se rukhsat hue. Unhon ne khud hi kaha tha : deewar par uga darakht kab tak hosla mand rahay ga. Kachay bartan mein kab tak pani sanbhala ja sakta hai .